Wednesday, December 05, 2007

Kahani

Machal gaya Munna us raat
Nahi suni fir usne kisi ki baat
Karne laga voh manmani
Aaj to sunke rahoonga mein koi kahani


Maa tum busy ho office mein har din
Mein karta weekend ka intezaar din gin gin
Aaj Saturday tumhe party mein hai jaana
Kabhi to sunao maa kahani, lori ya koi gana


Bhar aaya maa ka man sun Munne ki baat
Beta hum rahenge tumhare saath hi aaj raat
Aaj mein tumhe sunaoongi wohi kahani
Jo bachpan mein sunati thi mujhe meri nani


god mein lita ke maa papa ne kahani sunai
Munna ko itna khush dekh dono ki aankh bhar aayi
Lets make Saturday family time papa said
they hugged each other with arms wide spread